yakeenan

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga,
Ek Din Aayega Wo Shakhs HaMara Hoga,
TuM Jahan Mere Liye Seepiyan Chunti Hogi,
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,
Zindagi Ab Ke Mera NaaM ShaaMil Na Karna,
Gar Ye Tay Hai Ke Yehi Khel Dobara Hoga,
Jiske Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi,
Kis Tarah Uske Bagair Apna Guzara Hoga,
Ye Achanak Jo Ujala Sa Hua Jaata Hai,
Dilne Chupke Se Tera NaaM Pukara Hoga,
Ishq Karna Hai To Din Raat Use Sochna Hai,
Aur Kuch Zehen Mein Aaya To Khasara Hoga,
Ye Jo Paani Mein Chala Aaya Sunehri Sa Garoor,
Usne Dariya Mein Kahin Paanv Utara Hoga,
Kaun Rota Hai Yaahn Raat Ke Sannaton Mein,
Mere Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Hoga,
Mujhko MaluM Hai Joonhi Main QadaM Rakhunga,
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,
Jo Meri Rooh Mein Badal Se Garajte Hai,
Usne Seene Mein Koi Dard Utara Hoga,
KaaM Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Usko,
Mera Maula Ka Joonhi Ishara Hoga…






Shola Tha Jal Bujha Hoon, Hawayein Mujhay Na Do
Main Kab Ka Ja Chuka Hoon Sadayein Mujhay Na Do
Jo Zehar Pi Chuka Hoon Tum Hi Ne Mujhay Diya
Ab Tum To Zindagi Ki Duayein Mujhay Na Do
Aisa Kabhi Na Ho Ke Palat Kar Na Aa Sakun
Har Bar Door Ja Ke Sadayein Mujhay Na Do
Kab Mujhko Aitraaf-E-Mohabbat Na Tha ‘gaurav’
Kab Mainay Ye Kaha Tha Sazayein Mujhay Na Do…






Aisa Karte Hain Kay Mar Jatay Hain
Kaise Hotey Hain Bicharney Walay
Hum Yeh Sochein Bhi Tu Darr Jatay Hain
Dil Jo Tootey Tu Sar-E-Mehfil Bhi
Baal Bewaja Bikhar Jatay Hain
Ab Na Dekho Meri Banjar Ankhein
Chartey Durrya Tu Utar Jatay Hain
Ab Na Mour Mour Kay Pukaro Unko
Log Rastey Main Tehar Jatay Hain
Haali Damaan Se Shikayat Kaisi?
Ashk Ankhon Mein Tu Bhar Jatay Hain
Tum Kahan Jaoge Socho Mohsin?
Log Thak-Haar Kay Ghar Jatay Hain






Comments